Howdy Guys !
Kya aapka android phone Slow hai? Kya aapke phone par 4G sim bhi 2G ki speed se work karti hai? Agar hai to aapko apne mobile phone fast karne ki jarurat hai Slow working mobile phones par internet bhi slow surf hoti hai aur downloading speed 24 kbps se upar nahi jati hai.
Agar aapka phone slow hai to wo kabhi bhi crash kar sakta hai aur usme jitna bhi Data hai sabhi erase ho sakta hai isliye phone ko hamesa boost karte rahiye aur jitna ho sake phone RAM ko khali rakhiye.
Har smartphone user yahi chahta hai ki uska phone fast kaam kare par aisa sabke saath hota nahi hai Aapke phone me 1Gb RAM hai aur aap uspar movies dekh rahe hai tab agar kisi ka achanak phone aa jata hai to phone hang hone lagta hai aur aisa phone fast na hone ki wajah se hota hai.
Mobiles ki speed badhane ke liye aapko bahut se chijo ko remove aur internal storage ko clean karke rakhna hota hai aur is par faltu ke Junk apps install nahi karne chahiye tab hi aap apne phone ko full fast bana sakte hai.
Android Phone Fast Karne Ke Tarike
Android mobile ko fast karne ke bahut se tarike hai aur sabhi tarike working hai par aapko khud se bhi isme Experiment karte rakhna chaiye aur normal cheeze jisse phone slow hoti hai unhe ignore karna chahiye.
Phone slow hone ka sabse bada reasons phone me installed junk apps hai, Agar aap faltu ke apps ko apne phone par install kar nahi rakhenge tabhi phone ki speed achii rahegi aur phone fast raega.
Niche mai aapko kuch tips bata raha hu ho sake to unhe follow kariye agar aap mere ish tips ko follow karte hain definitely aapka phone fast work karne lagega aur phone ki speed bhi kuch had tak increase ho jayegi.
#1 Junks Apps Ko Uninstall kare
Mobile me kai junks apps pahle se pre-installed hote hai jinhe aap to na uninstall kar sakte ho aur na hi delete kar sakte ho to aise me aap phone ko fast karne ke liye kya karoge? Generally aajkal ke smartphone me minimum 1Gb RAM hota hai aur 1Gb ram hone ki wajah se aap phone root karte hai tab bhi wo slow nahi hota hai.
Ab aap soch rahe honge mai aapko phone root karne kyu bol raha? Iska bhi ek main reason hai root karne se phone ki security brake ho jati hai aur phone me pre-installed app ka lock bhi brake ho jata hai tab aap iski madad se Junk apps ko remove/Uninstall kar sakte hai.
#2 Disable Or Block Non Usable Background Apps
Jab aap phone ko swith on karte hai tab phone par 30+ background apps active ho jate hai aur wo chalte rahte hai jisse ki phone ki battery bhi jald khatam hone lagti hai aise apps ko aap unistall nahi kar sakte hai kyuki ye sabhi apps phone Os ke liye important hoti hai but ise aap disable kar sakte hai, Apps disable karne par bhi phone ki speed badhti hai aur mobile fast work karta hai.
#3 Fully Up To Date Your Smartphone
Always apne smartphone ko up to date rakhiye, Agar aapke phone par update available nahi hai to koi problem nahi hai par jinke phones me update available hai wo thode Data kharch kar phone ko update kar lijiye.
Agar aapke paas OLD model ka android phone hai aur aap usko fast karne ke liye update karna chahte hai to wo aap recovery mode me jakar kar sakte hai, recovery mode se phone ko new Os me upgrade karne ke liye aapko apne phone Model ka SDK internet se download karna hoga aur recovery menu me jakar Apply update from Sd Card select karke phone ko update karna hai.
#4 Don’t Customize Your Phone
Apne phone par Live wallpaper or theme rakhna sabko achaa lagta hai par inhi chijo ki wajah se aapke phone ki performance 25% tak reduce hoti hai aur jiske karan battery bhi jald over hoti hai, agar aap seriously apne phone ko fast karna chahte hai to in faltu ke apps ko apne phone par install mat kare aur phone Font normal rakhiye.
#5 Surf Internet On Restricted Mode
Kisi kisi ke phone par jab internet surf ki jati hai tab phone screen par faltu ads automatic hi show hone lagti hai aur aisa jyadatar wifi connected smartphone par dekhne ko milta hai, agar aap apne phone par restricted mode on karke internet surf karenge to aisi ads aapke screen par show nahi honge aur phone fast work karegi.
Aap Upar diye sabhi formula ko apply kar ke dekhiye agar aapka phone in tips ko apply karne ke baad bhi fast nahi hota hai to aap apne phone ko ek baar hard reset kariye.
Hard reset karne se phone ki jitni bhi data hai sabhi erase hoti hai aur phone pahle ke jaisa (Factory mode) ho jata hai.
Phone ko fully reset karne ke baad In sabhi tips ko apne phone par apply kariye tab dekhiye phone ki speed bani rahti hai ya nahi.
To ummid hai dosto aapko hamari ye jankari pasand aayi hogi agar aapko ish post phone ko fast kaise kare se related kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment karke puch sakte hai.
Great Job Sir
Thanks buddy
Bahut hi achha jankari diya hai thanks
Thanks buddy.
बहुत ही बढ़िया article है। …. Thanks for sharing this!! 🙂 🙂
Welcome @Hindi India !
Very use full article for android users I also a android use user.
@Kamlesh
Thanks keep visit !
Sir mere Laptop ki window kese update karte hai
Control panel >> Security and System >> Windows update me jakar update kariye
Pls Don’t Update Your Windows for any faced wrong symptoms.
Hello bhai mai godaddy se domain liya hai , set kiye 3 din ho gaya hai Lenin abhi tak site khul nahi rahi hai check kar ke bata dijiye Esme kya dikkat hai
Pahle apne free domain ko search console se unverify kariye aur property delete kariye phir new domain ko godaddy se Link karke search console me new domain add kariye tab hi aapki site new domain par open hogi.
Mera Phone Hang kar rha hai Kaise Sahi Karu. Mera Oppo F3 hai
Phone ka backup lekar restore kariye !
bhai Mai Blogger Par Hu Kya WordPress Par Trafic Jayda Search Se Milti Hai Blogger Par Kam Kyuki Mai Jitna Badiya Seo Karlu Utna Bhi Topp Nhi Milta Aap Jaise WordPress Par Hai Kuch Blogger Post Likhte Hi Turant Ache Rank Mil Jaata Hai Why Answer Me
WordPress par aapko advanced SEO option milte hai jisse post rank karne me help milti hai.
Great Post Bhai! Thanks for sharing
maine yeh try kia accha hai bhai ye trick
thanks for sharing this information its really helpful
My Samsung j2 hang again and again what to do
Email ka backup le kar phone ko reset kariye.
sir agar hum blog wordpress par transfer kate hai to hamara pahle wala blog ka url wahi rehta hai matalab blog name aur domain name
@Hi vilas
First ! aapko apne purane domain name se ek wordpress website banani hoti hai then blogger ka data usme import karna hota hai !
bahut badhiya tips di hai, android phone ko fast karne ki. muje bahut kaam aayi ye tips. now my smartphone run fast. bahut improvements hai mere smartphone me.
System me installed apps ko uninstall karne ke saral upay bataye.
System Remover App apne phone par install kariye.