Uc news aapko ek opportunity deti hai ghar baithe lakho rupaye kamane ki Agar aap Online money making karne ke bare me soch rahe hai to Uc news se acha koi platform aapke liye ho hi nahi sakta hai.
Internet se online paisa earn karne ke liye Uc web ka uc news program bahut hi badhiya hai Ish program se aap har mahine 1M or usse bhi jyada earn sakte hai aur ye sab aapke hard work par depend karti hai.
Uc news me aap sirf paise hi earn nahi kar sakte hai balki iska use aap apne website ko promote karne me bhi kar sakte hai Ye aapko aap hi ki website ko promote karne ke liye aapko hi pay karti hai.
Agar aap ek blogger hai or aapke pass ek website hai to aap apne website ke article uc news par publish kar sakte hai Is program me aapko apne article ki SEO karne ki jarurat nahi hoti hai balki uc browser par jiski title sabse best hoti hai unki news top par show ki jati hai.
Agar aap har mahine 30 news bhi publish karte hai to isse aapki kafi achi kamai ho jati hai Is program me aapko article publish karte waqt seo par dhyan dena nahi hota hai kyuki Uc browser ke User’s bahut adhik hai aur aapka article har ek user tak pahuchayi jati hai.
Uc News Kya Hai
Uc web ka hi ek program Uc news hai Ishe Uc browser me news show karne liye banaya gaya hai par aaj iski ek alag android or ios app hai Isme aap khud ka article publish kar sakte hai aur logo tak apni news pahucha sakte hai.
Ishe specially aam logo ke liye banaya gaya hai isme koi bhi Uc web users apna khud ka article or news publish kar sakta hai Iska use ab aap apne website ko promote karne ke liye bhi kar sakte hai.
Uc news pahle aapko article published karne ke liye pay nahi karti thi agar karti bhi thi to bahut ko iske monetization program ke bare me pata nahi tha par aaj aap isme monetization enable karke apne news se paise kama sakte hai.
Uc News Program Use Karne Ke Fayde Kya Hai
Mai agar apni point of view se baat karu to mujhe isme fayda hi fayda dikhai padti hai aur ye sabhi users le liye liye faydemand sabit ho sakti hai Jo log online money making karna chahte hai unke liye ye website best hai.
Ish Uc web news me aap free me register kar bina koi investment kiye paise kama sakte hai Ye aapko fully free service provide karti hai Ispar account create karna bhi bahut hi easy hai aur bina kisi website ke aap isme sign up bhi kar sakte hai.
Iske kuch Benefits niche maine aapko bataye hue hai inhe ek baar aap jarur read kariye –
- Uc browser ke 10 Million active users sirf india me hai ishliye agar aap koi news publish karte hai to aapko uska turant result milta hai aur sabhi users tak aapki post share kari jati hai.
- Ispar aap apne website ke article bhi publish karke apne website par traffic increase kar sakte hai.
- Uc news ka koi bhi article google crawl nahi karta hai ishliye copyright ki koi problem aapko nahi hogi.
- Uc web news sign up karne ke baad jab aapka account approve hota hai uske thik 7 din baad aap monetization on kar sakte hai aur apne article se earning kar sakte hai.
Iske aur bhi bahut sare benefits hai agar aap uc news program ka use karte hai to isme aapko benefits hi benefits milti hai isme aap kuch bhi nuksan nahi hota hai.
Uc News Par Account Kaise Banaye (Register)
Ispar register karna or account banana bahut hi easy hai Agar aapke pass ek website hai to aap uska use isme account banane me kar sakte hai or agar aapke pass website nahi hai to email ID ke jariye isme register kar sakte hai.
Sign up ke baad Uc web account approve hone me 25-30 din tak lag sakte hai aur wo aap ki website par depend karti hai Email se approval pane ke liye isme kam se kam 40-45 din tak lag sakta hai par approval mil jati hai.
- Uc web news par account banane ke liye sabse pahle mc.ucweb.com me jaiye.
- Ab top right side me Sign Up button par click kariye.
- Ab ek web page khulegi jispar aapko apna registered email id enter karna hai aur apne Uc web account ka password enter karna hai.
- Apna email id enter kariye.
- New password enter kariye.
- Password confirm kariye.
- Invitation code me 408341 enter kariye.
- Captcha enter kariye.
- Ab terms and condition read karke continue par click kar dijiye.
- Continue par click karte hi aapke Gmail par ek confirmation link send kar di jayegi Ab aap apna mail ID open kariye aur us link par click kariye.
- Finally Link par click karte hi ek aur page open hogi Ab isme aapko apna naam or pan card ki jankari bharni hai.
- Channel ka naam jo rakhna chahte hai bhariye.
- Account type personal select kariye.
- Aap uc web news me kis chij ke bare me jankari share karne wale hai Categories select kariye.
- Yaha ab apna real naam bhariye jo aapke pan card naam se match karna chahiye.
- Apna pan card ka number enter kariye.
- Phone number enter kariye.
- Aap kya kaam karte hai agar padhai karte hai to student likhiye ya job karte hai to employe likhiye.
- Apne website ka URL yaha enter kariye or aapke pass khud ka website nahi hai to apni mail ID enter kare.
- Agar aapke paas Service Tax Card hai to uska number yaha enter kariye ya ishe blank hi rahne dijiye.
Finally ab agreement me tick karke Continue button par click kariye Continue button par click karte hi aapka form submit ho jayega aur aapka account review ke liye pending ho jayega.
Ab aapko wait karna hai apne account approval ka Account ko approve hone me Generally 25-30 days lagte hai par wo depend karti hai aapke website ke upar Waise website ki jagah aapne apna email address enter kiya hai to wo bhi 30-40 din me approve ho jayegi.
Jab aapka Uc news account approve ho jaye tab aap usme post publish kar sakte hai par monetization aap 7 days baad enable kar sakte hai Aapko bata du ki Uc news se paise kamane ke liye monetization enable karna jaruri hota hai aur wo aap account approve hone ke 7 din baad kar sakte hai.
Bohut achchha jankari bhai, mera ek sawal hai mera blog me jo post published kiya huya hai. iss post uc news me published kar sakta hu kya ?
Uc news ko website ki article share karne aur promote karne ke liye hi banaya gaya hai.
Mai us news par account create kiya hai lekin blog submit nehi kiya. uc news par blog ko submit kaise kare?
Blog submit karna jaruri nahi hai account create karte time hi blog submission ka ek form khulta hai aapne use agar skip kiya hai to problem nahi hai account approve hone ke baad me blog url daal dijiye
jo post hum uc news mai publish karte hai wo kaise dekh skte hai
@Sunita
Post publish karne ke baad Link ko copy kar lijiye
Ronan bhai Maine youtube ke jariye adsense he host account banaya lekin jab is par apne blogs ko jodta hu….google asmarth batata hai kya Kate rply jarur kare
Blog me hosted adsense account ke ads lagane ke liye use upgrade karna hota hai
Ye post padhiye – Upgrade adsense hosted to non hosted !
Really Informative. Thanks for sharing.
Great Article Sir Keep Shareing
Vaah Sir, Bahot badiya article share kiya hai. Uc news ke baare me maine kahi baar socha tha but koi information nahi mili thi. But aaj aapki post se sab info hasil ho gayi.
aap bhut acha likhte ho usefull tips sabhi ke liye
mere blog ko bhi dekhkar btao kaise he me blog ka link de raha hu
Badiya blog hai dost Theme ko thodi customize karne ki jarurat hai
Uc news account pe logon karne par error bta rha hai pta nahi kya ho gaya hai sir achank please help kijiye
Login karne me kafi dikkat aati hai Account hata nahi hoga aap thik se LogIn kariye aur nahi ho raha hai to Password reset kare.
Sir uc news account ka password bhi riset kiya but har baar ” login failed this account has been permanently removed ” bta rha hai kya karu sir please help kariye
Lagta hai aapka Uc account remove ho chuka hai ya kabhi kabhi fake Message bhi show hota hai aap Uc news ke Help desk me apni problem unhe mail kariye.
nice article bhai, bhai mera uc news account parmanently removed ho gya ab recover kesse karu. bhai balance bhi tha usmey 30 dollar and email me job related account ko delete karney ka mail aaya and permanently removed kar diya but mene ek bhi post job related nahi publise ki. bhai kahi ye fraud to nahi kar rahey.
Sayad aapne Uc news Form fill karte waqt website URL me apna job wala blog dala hoga isliye aapka account remove kar diya gaya !
Agar Unse kuch Galti hui hai to aap unse ish bare me baat kar sakte hai – [email protected] !
yes bahi ji blog to yehi dala tha but job related ek bhi post nahi publish ki uc news par, fir bhi removed kar diya. email to mene kiya hai aaj recover account ke liye but Koi response nahi milla aaj hi mail kiya hai bhai ji.
Milege response wait kariye !
भाई मैंने पोस्ट लिखा है uc news पर लेकिन pending में है क्या करू
Post Uc ke taraf se approve hogi tab hi news par publish hogi agar aapki post unique hai to 30 minut me approve ho jayegi tension na le problem nahi hai.
Bhai maine 7 days hone ke baad monetize ke liye apply kiya tha 4 din ho gaye ads nahi lage hai.
Isme aapko ads nahi dikhte hai par earning aapki hoti hai bas aap apply kar chhod de.
Bhai Nyc information hai.Ek baat aapse bhai puchna hai uc news ka accont kitna din me approv ho jata hai
1 din or 30 din bhi lag sakte hai.
bro monetization ke liye bank account toh mangte honge , woh information kaha fill kare
Account >> Payment me jaiye aur waha apna info & bank detail fill kariye.
Sir ka ham askhindi.com se bhi pasa kamaa sakte hai ya nahi?
Ji han kama sakte hai adhik jankari ke liye ye post padhiye – Earn with AskHindi
1. Sir ye batao ki agar hamare uc news ke Account Me Name Mukesh Gupta Hai Aur pan card me sirf Mukesh to kya isse koi problem hogi.
2. uc news par kahi se copy kiya unique contant dal sakte hain kya
1 – Uc channel ka naam kuch bhi rakhiye farak nahi padta hai par Beneficiary Name PAN card or Bank detail se match kara chahiye nahi to payment nhi milega.
Bhai kya iske liye pan card hona jaruri hai.
Han bahut jaruri hai.
hello rohan
aapne apni site ke liye SSL Certificate kaha se liye h
Cludflare ka free ssl hai dost.
Sir me madan saha uc news me jurna chahta hu or apne handicaped son ko news me photo dena chahta hu taki log mera son ko duwa kare taki thik ho jaye mera request hai
Wo to aap facebook par bhi apne son ki photo upload kar sakte h uc me hi ku karna chahte hai !
Bhai if humare pas pan card na ho to?
To phir account nhi banegi PAN card jaruri hai !
Sir,
Mera ek sawal hai aapse,
Maine sign up karte waqt apne blog ko add kiya, me yeh janna chahta hun jaise maine apne blog pe new post publish ki to wo automatically UC news me aa jayegi ya mujhko khud new post banakar publish karni hogi UC news par? (little confused)
Thank you.
Aapko khud hi Uc News me articl likhna hota hai blog ka isse koi connection nahi hai sirf URL ki jarurat padti hai.
Hallo ..rohan bhai,
kya uc news par copy article likh sakte hain.
Nahi par wahi article ko modified karke likh sakte ho.
very nice article….
thanks !
Hi Rohan,
Just 2 quick questions:
Do they except blogs / articles in Hindi as well?
Also, Could you suggest me a few names of the tools you use for selecting your keywords, apart from Google’s Keyword Planner tool?
You have a nice and informative blog!
Thanks for your reply
@Vipul
Yeah they accept hindi blogs !
I use keyword planner but you use semrush for better keyword finding tool.
Bhai mere pass pan card ni h to kya me apne name se account bana kar apne papa ka pan no dal sakta hu
@Subhash
Channel name kisi ke bhi naam se banaiye farak nahi padta hai par account name unhi ka homa chahiye jinka PAN or Bank detail ho.
Bhai Mene account bank Liya but account Abhi pending h or 48 hour waqt dekha Raha h Kya 48 ghante Baad account approved ho jaiga
Or Bhai ek sawal or Mene jab uc news par account bana Raha tha tab
1 no par jo account name likhna tha waha uska Naam likhna h Kya jiska pan card h ya koi bhi Naam likh sakte h kyuki Mene galti see apna Naam dal Diya or pan card mere papa ka h Kya me isse thik Kar sakta hu Baad me koi problem to Ni hogi
Account operator Name me apne papa ka naam likho !
Sir uc news kis hisab se paise deta hai kitne ho jaye to transfer kar sakte hai pls reply
50$ indian rupees ke hisab se 3000 rupaye hone par bank me transfer kar sakte ho !
sir uc news me kitne views hone par kitne pese milte he.
Iska koi fix rate nahi hai 100k me aapki earning 10$ bhi ho sakti hai aur 50$ bhi !
Bhai uc news me blog post karne ki google play store me koi app hai kya ..news kaise post karenge uc news me
App nahi hai Chrome browser me desktop mood on karke website open karo.
भाई मैंने कल ही UC न्यूज़ के लिए अप्लाई कर दिया था और आज उसका अप्रूवल आ गया है अब मैं आगे क्या करूं मतलब पोस्ट कैसे लिखूं और रनिंग कैसे होगी और मोनेटाइजेशन क्या होता है
Ab Uc web me Login kariye aur dashboard me ja ke post likhna suru kare Jab aapke account me 2000 views aur 7 din ho chuke honge tab aap monetization tab me ja kar monetization apply kar de.
भाई क्या UC वेब प्रोडूसर में चैनल का नाम बदल सकते हैं मैंने गलती से मेरे पापा का नाम डाल दिया है राज किशोर सिंह नाम है चैनल का जो देखने में भी अच्छा नहीं लगता मुझे मेरे चैनल का नाम सनातन फर्स्ट रखना है तो क्या मैं चैनल का नाम बदल सकता हूं और कहां से बदलेंगे और मैंने एक पोस्ट सबमिट की है एक दिन हुए उसमें भी तक 25 view हुए हैं तो अगर 7 दीने के बाद तक भी 2000 view नहीं होते तो भी कुछ पैसे या पॉइंट मिलेंगे
@Sujit
Uc news >> Faq >> Feedback me jaiye aur unhe text kariye ki aap apna channel name badalna chahte hai !
Jab tak aap revenue ke liye apply nahi karte aapki earning nahi hogi !
और क्या मैं newsdog एप्लीकेशन में जो न्यूज़ आती है उसे कॉपी करके UC न्यूज़ में सबमिट कर सकता हूं
Agar khud ka article hai to kar sakte ho par dusre channel ka nahi !
uc ko monetize kaha aur kaise karna hai
Apne channel me Login kariye then ad monetization button par click karke monetization enable kariye par ye aap tab hi kar sakte hai jab aapka channel 7 day old ho aur usme kam se kam 2k views ho.
Sir mere post suspended ho rahe hai ESA ku
Suspend kyu ho raha hai uski reason text editor me show ho rahi hogi use padhiye aur rule follow karke likhiye iske bare me aur adhik jaankari ke liye facebook par contact kariye !
Sir monetize kya hota hai
Content (article) se paise earn ke liye hame monetization karne ki jarurat padti hai.
Please sir
Mujhe help kijiye mail bahut poor student hu
Maine uc acount create ka ye pura step follow kiya or last me ak page bhi khula jisme likha tha ki 48 ghane me apka account approve ho jayga pr aaj 4 din hone ko aaya abhi tk approved sms Meri email iD me ni aaya Mai ky kru ab
Dost account ko approve hone me 1 din or 30 din bhi lag sakte hai bas aap wait kariye.
30 days me koi bhi din approve ho jayga ?
Han ji !
Pan card jaruri he kya
Han bahut jaruri hai.
are bhai jaisa ki tune bola ki 1st no pe real name dalna h to hum account name kia dale jisse log impress ho jae….
@Hi
Kuch bhi attractive name daal sakte ho basarte wo kisi company or organization ka nahi hona chahiye.
Sir Maine UC news aacount ko 20 Days pahle register Kiya hu . pr Mera account Abhi tk approve Ni hua h kuchh helpline number h Ky ya fr koi bhi trike see uc news me help magne ka trike h to pls help me sir
Abhi uc par kuch technical problem chal rahi hai 1 month wait kariye aapka account approve ho jayega aur apna email check karte rahiye.
Sir Please Help me
Sir mera balence 78 doller ho gya he or uc news walo ne mera accont suspend kardiya he ab me kya karu sir koi solution he to suggest kare
Koi baat nahi Uc feedback section me jaiye aur unhe account phir se re-open karne kahiye Account 18 din me open ho jayegi.
Bahut hi acchi jankari dii hai UC WEB par Aapne Bhai, Poore details ke saath hai.
But Rohaan Bhai, Aap ek chhoti si correction kar de ki ab UC ne Invitation code sirf apne Primium partner ke liye chalu rakha hai, Baaki sab ke liye baand kar diya hai…!
@Kumar
Ok kumar mai jald ishe correction karta hu.
Sir 35 days se jyada ho gye uc account approve ni hua uc news se help line no. Ka rasta batao na Ya kuchh help mangne ka rasta batao na
Wemedia ko mail kariye !
Maine 3 din ho gya monetization kar diya par abhi tak ad chalu nhi hue
Ads chalu ho chuke hai wo aapko kabhi kabhi show hogi.
Hi Sir
Is time uc news par views kafi kam aa rahe hain. Kya ye mere sath hi ho raha hai ya sabke sath.
Sabke saath hota hai bas aap unique news dalte rahiye kabhi na kabhi aayegi.
Sir Uc News se hum kitna paisa kama sakte hai. apne ab tak kitna paisa kamaya hai uc news se.
Dost ! uc me aap jitna work karenge utna hi aapko milega agar aap mere erning ke bare me janna chahte hai to mujhe facebook par contact kare.
Sir, m uc news par account banane par mujhe kafi difficulty ho rhi hai.
Email code or Invitation Code me kya fill up kare samajh nhi aa rha.
Help me plz
@Gautam
Uc par account kaise banana hai maine step by step batayi hui hai aap ek baar post ko carefully read kariye aapko samjh aa jayega ki invitation me kya fill up karna hai.
Acount bnane par ‘Ur email is already in use’ likha aata hai jabki is email se mera uc news par account abtk bna hi nahi hai.
Then what i do sir ?
Tell me.
Apna email check karo waha ek confirmation link aaya hoga usme click karke ek aur form hoga usko fill karo aur agar usko bhi fill kar chuke ho to Login karo !
Blog me kya fill up kare jbki mera blog nhi hai
Use blank rahne dijiye.
Sir maine form pura fill up kar liya but continue par click karne par ‘UR EMAIL IS ALREADY IN USE’ likha aata hai jabki mera account avi bna nhi hai
Aur jo confirmation code gya hai wo 30 min. tak hi valuable tha aur ab expire ho chuka hai So mujhe btaye ki main ab confirmation code kaise receive karu.
Aap SignUp ke jagah LogIn kariye aur then phir se confirmation link ke liye apply kariye !
Bro me news kha se likhu
Uc News me login karo then post section me jakar likho.
Rohaan mera form fill up ho gya but continue par click krte hi email is already in use show krta hai.
Maine pahle email confirmation code mangaya tha but main 30 min. ke andar usko use nahi kar saka jabki wo 30 min. tak hi valuable tha…
Ab main dubara usko kaise mangau qki jb click krta hu email id is use already show aata hai.plz muje step wise bta de
Help me pls.
SignUp karne ki jagah aap SignIn kariye then “Send Again” code par click kariye !
Bhai waha incorrect id nd password bta rha hai.
Kahan? apna sawal pure detail me bataye please !
Kya mobile se v ye ho jayega?
Han mobile se bhi ho jayega !
But mobile se post nhi likhi ja pa rahi.
Mobile me chrome browser ka use kariye.
Code ka to option hi nhi aa rha bro,
Mera account nhi bnega kya.
Itna problem to mujhe koi id bnane me nhi hua…Uff !
Kya code? kaun sa code ke bare me aap baat kar rahe hai detail me apna sawal likhe !
I have no pan card number please give me your pan card number
Why should i give you my pan bro 🙂 use your dad’s pan card number.
but continue par click karne par ‘UR EMAIL IS ALREADY IN USE’ likha aata hai jabki mera account avi bna nhi hai
Aur jo confirmation code gya hai wo 30 min. tak hi valuable tha aur ab expire ho chuka hai So mujhe btaye ki main ab confirmation code kaise receive karu.
Aur jb sign up ki jagah sign in ya login krta hu to incorrect id & password btata hai…
Now, what i do bro ?
Kya es email se id nhi bn paega Kya 😡
@Rajan
Han aisa lag to raha hai ki ish email se id nahi banegi par pareshani ki koi baat nahi hai uc me email ki importance kam hoti hai isliye aap dusre email id se new account create kar sakte ho !
Bro…by the way 1 person ka to email id 1 hi hota hai…nd yhi mera personal email hai.
To kahin 2nd email bnkar main ghate ka souda to nhi kr rha.i mean aage kahi koi dikkat to nhi hoga.
Nd kya isi email par id bnane me koi help nhi ho skti…wemedia se.
Qki ab 2 – 2 email handle krna…😦
It’s too much n
@Rajan
Email se kuch farak nahi padta hai yeh sirf uc me login karne aur password manage karne ke kaam mein ayega !
2 Month ho gya Mera account uc news bna hi ni ky kru sir ab ?
Uc wemedia ko mail karke apni problem share kariye !
Uc we media ko email kaise kru
Ish link par click karke – Uc we media feedback area !
Sir ism basic partner se advance partner kese bante hai plz reply me Bcz jb bhi mai monities krta hu apni id ko basic partner ke liye allow nhi kr rha hai.
@Depak
7 days tak daily article likhiye aur jab aapke account me total 2k views aa jayenge tab aap khud promote ho jayenge aur monetize kar sakenge.
Feedback kiya pr kuch reply ni aa rha or feedback karne baad new page me likh jata h ki koi feedback ni h…. Sir account create karne ke liye koi proof dena padhta h ky bcz bohot din pahle email aaya tha ki koi Id proof chahiye example journalist ya kisi news se related id mang rahe the? Ky kru Mere pass to ni h aisi koi Id
Feedback section me email enter karna hota hai aur we media wale aapko mail me apna solution batayenge agar aapko uc wale ID proof maang rahe hai to aap apna PAN id ya aadhaar id ka screenshot de sakte hai.
Sir pan card ni journalist ya news ke koi bhi chij ka Id proof mangte h Jo ki Mere pass ni h
Unko boliye mein ek writer hu journalist nahi wo aapko koi aur samjh baithe hai !
ek post per kitne paise milte h
1 to 50$ ! depends on posts quality.
bro hmko ye msg aaya hai to kya mera acount bn gya hai kya main ab post krne ke liye eligible hu…plz tell me
Aap ye message mujhe mere fb account par send kariye !
Rahul Kashyap ke nam se mera acount hai…
Hum friend request bheje hai aap add krlo
Capcha matlab kya hota he???
Security verification code hota hai jise form fill karte waqt daalna hota hai.
mai jab monetize ke liye on kar raha hu ho to ye error aa raha hai.
Current Status: Basic Partner. Please apply after you became an Advanced Partner.
Abhi aapke account me basic feture hi available hai abhi aap sirf post hi likh sakte hai monetize nahi kar sakte hai jab aap advaced partner me upgrade ho jayenge tab aap monetize kar payenge tab tak aapko post likhte rahna hoga !
Hlo rahul g mjhe bhi uc news ka money making try krna h.
@Rekha
Uc se earning ke liye aapko sabse pahle uc news website me apna account banana hoga aur uske baad aapko usme news publish karni hogi maine post me detail me batayi hui hai phir bhi agar aapko doubt hai to aap mujhe whatsapp par puch sakte hai yaha aapko saari jaankari detail me mil jayegi – 7544879411 !
uc news par account banane ke liye kaun si category choose karoo jisase monetization on karne me aasani ho kyonki pichli baar maine blogger choose kia tha aur 5000 se jyada view bhi they magar monetization aaj tak on nahi ho raha.
Category ka monetization hone na hone se koi connection nahi hai agar aapke 2k views total ho jate hai tab aap koi bhi categories me apne article ko monetize kar sakte ho aur agar aapse monetize nahi ho raha hai to aap Uc ko mail karke apni problem bata sakte ho ! thanks
Kya uc news me account banane ke liye website ya blogs jaruri hai, Kya ek house wife work nhi kar sakti kya isme
Han bilkul kar sakti hai website jaruri nahi hai.
uc में पोस्ट एक के बाद एक कर सकते है क्या जैसे 20 से 30 मिनट की गेप में
Next time question ke saath saath apna naam bhi comment kariye ! Han kar sakte ho
Bro ek se jada account bna skte hai kya
1 pan card se 3 account bana sakte hai.
sir kia ya acount pak ma ban jay ga or sir ya pan crd num kia hota ha kisy banya jata ha plz help
@Zain
Dost ! uc news sirf india ke liye hai. India me pan card ka use Gov ko tax dene ke liye hota hai.
to kya ye pak ma me ban sakta ya sirf india me hota hai
Pak me nahi ban sakta !
bhai id file upload m kya dalna h
Pan ya aadhaar ID upload karo.
bhai usme khe rha h elbow bi dikni chaiye
Kaun si ID upload kiye ho?
Bhai tum ranchi se ho kya
Yes brother i am from ranchi.
Bhai bina pan card ke kam nahi chalega Kya?
Pan card must hai.
Pan card ki jagah aadhar no de sakte hai ki nahi or kisee other ka pan card no de sakte hai please help me
Iive in utter pradesh
Other ka pan card use kar sakte ho par aadhaar number nahi.
Please apna whatsapp or facebook id bataye
My facebook !
bhai
monetization kya hota h aut ise kaise use karte h
Bro uc news se income karne ke liye hame monetization ko enable karna hota hai, Monetization karne ke baad hi hamari income hoti hai.
Aap paid version template use kar rahe hai kya? Mai ab WordPress par shift hona chata hu
Han mai paid version theme use kar raha hun.
sir me Silver Blogger thi mere Credit Score 61 ho gaye h ab m article nahi likh paa rahi hu.
Han to problem kya hai.
Nice bohut badiya acha aap photo post ke liye konse software ki help se banate ho tell me
Photoshop cs3 !
Email code kya hai?
Email confirmation code – Uc ki taraf se ek confirmation link aapke email id par send kari jati hai jisme aapko click karke apna email address verify karna hota hai.
Bhai mera bank account nhi to kaise kare thoda Details me btao plz…
Bank account banana jaruri hai.
mera accout ban gya par khul nhi raha
Kya problem ho rahi detail me bataiye plz?
Boht hi achhi writting skill hai bhai aapki ek bar padhke hi sab information samjh jati hai.
Thanks buddy !
Sir jab mai apna email dalta hu to Email account format is incorrect btata h esa kyu
Apna email sahi se enter kariye.
sir isme ek option aata hai pan card ka id upload karo yeh kaise kare pls isko detail me bataye sir.
PAN card ka pic click karke upload kar do.
The Process Days of Withdrawal Application in Feb. would be Postponed
Sir ye msg Aya muje account procedure pura krne k baad
Har month aap apne paise 6-10 tarikh ko withdrwal karte hai par is month Chinese traditional day hone ke karan 14-22 tarikh ko withdrwal ho sakega. Pareshan nahi ho ye message sabko aaya hai.
Bhai bina pan card ka kaam nahi chalega? kya dusro ki pan card de sakte hai? bro plz reply
Apne father or family ke kisi bhi relative ka pan card use kar sakte ho.
Bro plz tell me “link published” bracket m kya fill krna h
Apne website ka koi ek post ki link usme copy kare aur agar nahi hai to linkedin profile ka link paste kariye.
link to publish article me kya dale bhai
plzz help me my contact no 8948124488
Apne blog ka koi bhi ek article daal do.
1. Sir agar me uc news per apni mom ka pen card use Karu to paise kiske account me jayegi mere ya mummy k
2. Kya uc news per URL jaroori kar diya he
@Aman
1. Pen Card apni mummy ka daloge to account bhi apni mummy ka hi dalna padega. Jiski pan card uski account.
2. URL jaruri nahi hai par agar aapke website nahi to Linked In ka apna profile URL me daal sakte ho.
Par uc news se Hume paisa kaise milega
Please Hume information dijeeye.
@Krishna
Aapka bank account me direct paise transfer honge. Bank me paise paane ke liye aapko apna bank aur pan card information uc news payment profile option me save karna hota hai.
Kya mai kisi aur ka pancard number use kar sakta hu? Jab ki bank account mera h
Account banate waqt kisi ka bhi pan card use kar sakte hai par bank account add karne ke liye aapko apna hi pan card or aadhaar card upload karna hota hai.
Hi rohan bhai aapne isme UC news par accha explain kiya hai, aap next post me kaise uc news me views badhaye is par ek article likhe.
@Hemant
Thanks, aapka sujhao hamare liye mayne rakhta hai ham aapke ideas ko jarur execute karenge aur ek article likhneg.
Bhai pincode kiya hota hai aur agar bank account na ho to kiya account ban jayega.
Sir isko monetization kaise karte hai?
Uc account >> Benefit me jakar ad monetisation ke liye apply kariye.
Kal meri quality 73 se achanak 53 ho gai will you pls tell me how to increase quality?
Uc me quality aapke content aur daily post karne par depend karti hai. Aapne ya to koi post or title copy kiya hai ya aap bahut din se post nahi kar rahe hai. Uc me kuch kaha nahi ja sakta hai phir bhi apne problem ka solution ke liye aap Uc par ek baar feedback kar sakte hai.
Rohan bhai mere website ko dekhiye aur bataiye ki kya mai adsense ke liye apply karu aur agar koi kami ho mere blogger me to jarur batayen, pls
Blog sahi lag raha adsense ke liye apply kar sakte ho, agar ho sake to template badhiya wala use karo aur images ki pixel thodi increase karo, baki sab badhiya hai.
Bro mere website par mai roj article likh published kar raha hu sari guideline bhi follow kar raha hu backlinks bhi create kar raha hu but visitors increase nahi ho rahe hai aap suggestions de mai kya karu any good idea bro? kya aapke blog par guest post published kar sakta hu agar ha to send me all procedure bro.
Hey,
Aap kisi ek aise unique topic par article likhiye jo pahle se google par nahi ho. Google un blogs or website ko jaldi rank karta hai jisme unique content available hoti hai.
Bhai website or rss feed option me YouTube channel ka url daal sakte hain kya?
Han bilkul daal sakte ho, jinki website nahi hoti wo aisa kar sakte hai.
Rohaan bhai mera blog to hai lekin views 10-12 hi aate to kya website ya rss feed me me apna blog url daal du ki nahi, koi problem to ni hogi aur second question uc news me traffic ki jarurat padti hai ya nahi? pls reply me rohaan bhai quickly.
Han aap apne blog ka Url or Rss uc news me daal sakte ho aur uc me bhi traffic ki jarurat hoti hai, traffic or views ko hi dekhkar uc me aapki earning hoti hai.